startling banals

29 March 2010

Me reading 'The Dhammapada' on the train. Four people get on at Coolidge Corner T stop. Two sit in front of me, one on my side and another behind me. After a while, the person next to me asks (his hindi is very village types)

1: Aap India se hai kya?
me: Haa India se hu mein.
2: India mein kaha se?
me: Bombay se. Aap log kaha se hai?
1: Gujarat se.
me: achha Gujarat se hai aap!
2: Kya karte hai aap yaha?
me: Mein padhta hu yaha.
2: Masters karne aye hai?
me: Nahi phd kar raha hu.
3: achha phd baap re.
2: Kaise hai phir yaha? apne yaha jaise hota hai waise hi?
me: Yaha jyada open aur democratic hai. teacher student ka alag alag level jo apne yaha hota hai waise nahi hai. tum bindaas baat kar sakte ho unse aur woh apne ko same level pe dekhte hai.
2: Haa apne yaha to waise nahi hota.
me: (giving fundaes on how people are trying to make learning better)
3: phir kitne saal mein hoga phd?
me: shayad ek saal aur.
2: uske baad?
me: ghar chala jaunga. Aap log kya karte hai yaha?
1: Hum merchant navy mein hai.
2: Hamara ship Brazil se yaha aya to idhar ghoom rahe hai. Idhar kashmir mein aye the hum. (me thinking kashmir is some restaurant)
me: achha merchant navy. 92 mein mere papa mombasa kenya mein the tab woh somalia ka chal raha tha to UN ke kaam se Indian navy ka ship aya tha. cadet logo ke saath dosti hua tha to unke ship pe gaye the aur dekha tha. bunk bed aur andar ka rehne ka sab.
1: achha mombasa..
2: par hamara alag hota hai. merchant navy mein nahi hota bunk bed.. sab achhe se hota hai rehne ka.
me: haa. achha achha. phir aap log ghar kab jaate hai?
2: woh seniority pe hota hai. kuch log 9 mahine kuch log 6 mahine,

0 Comments:

Add a comment